Menu
blogid : 1924 postid : 4

kho na jaye hindi english kee bahon mein

2080mars
2080mars
  • 44 Posts
  • 50 Comments

Spoken english kee goonj poore bharat mein hai , hindi apne hee aangan mein simti jaa rahi hai, hum aur aap sabhi is daud mein shaamil hain,kyonki career kee ye jung hamein bhee jeetni hai. Hindi pichad rahi hai hamaari apni karni se english jawaan ho rahi hai apni hee kathni se,angrez chale gaye aur apni bhasha chod gaye,shaaririk roop se to hum angrezo se aazad ho gaye parantu maansik roop se unke ghukaam hamesha ke liye ho gaye.Hinglish kaa zamaana hai,SMS ka khazana hai ,english mein hee pyaar hai english mein hee zhagda hai, aao kuch upay karein hum kam se kam apni bhaasha ko to bacha lein hum ,hamaari apni dhorohar hai kisi gair ki nahi , apni hee bagiya ke phool ko chalo phir se sajaa lein hum,nahi to ek din aisa aayega spoken hindi kee class mein jaana pad jayega ,us din har ek bhartiya ka sir apne aap sharm se zhuk jayega , YAAD RAKHEIN “NIJ BHAASHA UNNATI AHE ,SAB UNNATI KO MOOL”.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh